kala Jadu ka Tor – Kala Jadu ki pehchan (Black Magic)

Kala Jadu Kya Hai ? in hindi, Urdu

yahan hum aapko 1 baat btaa dein k Kala jaadu hamesha burai / burey kaam ya maqsad k tehat kiya jaata hai. iss ko Shetaani taqato’n ki madad se kiya jaata hai. or iss ko sirf or sirf dusrey ko nuqsan pohanchaney k liye kiya jaata hai.

ab aaj hum yahan Kala Jadu ki alamaat btaein gey jin se aap ko ptaa chal jaye ga k kyaa aap iss se mutasir hain ya nahi.

(Black Magic) kala jadu ki 11 nishaniyan in hindi, Urdu

  1. sir main darad rehna yeh Dard adhey yaa porey sir ka bhi ho sakta hai.
  2. porey jisam (Body) main dard rehna . Yeh Dard Halka ya phir bohat Shadeed bhi ho sakta hai.
  3. kamar aur gurdo’n (Kidney) main dard rehna.
  4. galeez galeez paad ana . yaani bohat Bad’bu daar aur zehrili Hawa ka jism se Kharij hona
  5. jisam main aag mehsoos hona. yaani jism ka jalna ya uss mein tapish peda hona
  6. poora jism garam rehna aur naak aur mu se garam hawa nikalna .
  7. Ankhein jalna aur lal rehna.
  8. baar baar Toilet jana
  9. dil taiz taiz Darakna.
  10. sans mushkil se aana aur seena main dard rehna .
  11. pet main darad rehna
  12. face per danay nikalna.
  13. Dil ghabrana aur be-chaini si mehsoos karna.
  14. Sab kuch honey k ba-wajood na khush hona. ya na umeed hona yaani ALLAH ka Shukar adaa na karna.
  15. Namaz se door ho jaana aur ALLAH se nafrat karna
  16. Khawab mein darna or ajeeb ajeeb dara’una khawab dekhna kabhi makrri, kabhi Saanp, kabhi chipkali aur laal baigh. yaani ajeeb tarha k burey Khawab ( Dreams ) aana.
  17. Dil mein ajeeb se khoaf hona aur darr bhi.
  18. needles ka jism mein Chubna mehsoos hona.
  19. meida mein Dard rehna aur matli ki shikayat rehna.
  20. apne ap se Nafrat karna
  21. Aankho’n ke samney Blue ya pink color ke dabbey Nazar aana ya phir lines nazar ana ajeeb se.

kala jadu ka tor – jadu khatam karne ki surat

40 Din aap apne Ghar mein roz Subha Surah Al-baqarah ki tilawat kare aur download kar k rakh lein and woh roz aap subha ghar mein chalaya karein.

inshaALLAH iss amal ki barkat se aap jadu etc se mehfooz raho gey.

FAQs

jadoo ka tor ki dua

update coming

Leave a Comment